اردو हिंदी
Mauj-e-KHayal mein na kisi jal-pari mein aae | Shaahi Shayari
mauj-e-KHayal mein na kisi jal-pari mein aae

Ghazal

Mauj-e-KHayal mein na kisi jal-pari mein aae

Tauqeer Taqi

;

mauj-e-KHayal mein na kisi jal-pari mein aae
dariya ke sare rang meri tishnagi mein aae

phir ek roz aan mila abr-e-ham-mizaj
miTTi numu-e-pazir hui tazgi mein aae

daman bacha rahe the ki chehra bhi jal gaya
kis aag se guzar ke teri raushni mein aae

ye main hun mere KHwab ye shamshir-e-be-niyam
ab tera iKHtiyar hai jo tere ji mein aae

ek bar is jahan se mil lena chahiye
aisa na ho ki phir ye faqat KHwab hi mein aae

aankhon mein wo lapak hai na sine mein wo alaw
is bar us se kahna zara sadgi mein aae

tanha udas dekh raha tha main chand ko
ye phul bahte bahte kahan se nadi mein aae

thak-haar kar gira tha ki aankhon mein phir gae
'tauqir' wo maqam jo aawargi mein aae