mauj-e-hawa ki zanjiren pahnenge dhum machaenge
tanhai ko git mein Dhaalenge giton ko gaenge
kandhe TuT rahe hain sahra ki ye wusat bhaari hai
ghar jaen to apni nazar mein aur subuk ho jaenge
parchhain ke is jangal mein kya koi maujud nahin
is dasht-e-tanhai se kab log rihai paenge
zamzam aur ganga-jal pi kar kaun bacha hai marne se
hum to aansu ka ye amrit pi ke amar ho jaenge
jis basti mein sab waqif hon wo basti ek zindan hai
wahshat ki fasl aaegi to hum kitna ghabraenge
aaj jo is bedardi se hansta hai hamari wahshat par
ek din hum us shahr ko 'rahi' rah rah kar yaad aaenge
Ghazal
Mauj-e-hawa ki zanjiren pahnenge dhum machaenge
Rahi Masoom Raza