اردو हिंदी
Mauj-e-gul barg-e-hina aab-e-rawan kuchh bhi nahin | Shaahi Shayari
mauj-e-gul barg-e-hina aab-e-rawan kuchh bhi nahin

Ghazal

Mauj-e-gul barg-e-hina aab-e-rawan kuchh bhi nahin

Nami Ansari

;

mauj-e-gul barg-e-hina aab-e-rawan kuchh bhi nahin
is jahan-e-rang-o-bu mein jawedan kuchh bhi nahin

phir wahi zauq-e-talluq phir wahi kar-e-junun
sar mein sauda hai to aashob-e-jahan kuchh bhi nahin

ek samundar kitna gahra mere pas-manzar mein hai
samne lekin zamin-o-asman kuchh bhi nahin

dhup ki chadar bhi mil jae to kafi hai bahut
kachche-pakke mausamon ka saeban kuchh bhi nahin

subh ki dahliz par sote hain ab bhi qafile
waqt ke sahra mein aawaz-e-azan kuchh bhi nahin

mom ho jate hain patthar narmi-e-guftar se
yun to kahne ko meri tab-e-rawan kuchh bhi nahin

dekhiye kab barf pighle kab chale baad-e-sahar
wo to ab tak mehrban na-mehrban kuchh bhi nahin

un ko shayad ab bhi patthar ke zamane yaad hain
jo ye kahte hain ki phulon ki zaban kuchh bhi nahin

shoKHi-e-taqrir-e-'nami' se ghalat-fahmi na ho
sach to ye hai mere us ke darmiyan kuchh bhi nahin