mauj-e-gham is liye shayad nahin guzri sar se
main jo Duba to na ubharunga kabhi sagar se
aur duniya se bhalai ka sila kya milta
aaina main ne dikhaya tha ki patthar barse
kitni gum-sum mere aangan se saba guzri hai
ek sharar bhi na uDa ruh ki KHakistar se
pyar ki jot se ghar ghar hai charaghan warna
ek bhi shama na raushan ho hawa ke Dar se
uDte baadal ke taaqub mein phiroge kab tak
dard ki dhup mein nikla nahin karte ghar se
kitni ranaiyan aabaad hain mere dil mein
ek KHaraba nazar aata hai magar bahar se
wadi-e-KHwab mein us gul ka guzar kyun na hua
raat bhar aati rahi jis ki mahak bistar se
tan-e-aghyar sunen aap KHamoshi se 'shakeb'
KHud palaT jati hai Takra ke sada patthar se
Ghazal
Mauj-e-gham is liye shayad nahin guzri sar se
Shakeb Jalali