mauj-e-anfas bhi ek tegh-e-rawan ho jaise
zindagi kar-gah-e-shisha-garan ho jaise
dil pe yun aks-fagan hai koi bhuli hui yaad
sar-e-kohsar dhundalke ka saman ho jaise
hasil-e-umr-e-wafa hai bas ek ehsas-e-yaqin
wo bhi parwarda-e-aghosh-e-guman ho jaise
mujh se wo aankh churaata hai to yun lagta hai
sari duniya meri jaanib nigaran ho jaise
aaj 'ashar' se sar-e-rah mulaqat hui
koi darmanda-e-dil shoala-ba-jaan ho jaise
Ghazal
Mauj-e-anfas bhi ek tegh-e-rawan ho jaise
Habeeb Ashar Dehlavi