mauj aae koi halqa-e-girdab ki surat
main ret pe hun mahi-e-be-ab ki surat
sadiyon se sarabon mein ghira soch raha hun
ban jae kahin sabza-e-shadab ki surat
aasar nahin koi magar dil ko yaqin hai
ghar hoga kabhi wadi-e-mahtab ki surat
hai soch ka tesha to nikal aaegi ek din
patthar ke hisaron mein koi bab ki surat
pahchan mujhe bhi ki zamin shakl hai meri
main sindh ka chehra hun na punjab ki surat

Ghazal
Mauj aae koi halqa-e-girdab ki surat
Shahid Shaidai