اردو हिंदी
Matlab na kabe se na irada kanisht ka | Shaahi Shayari
matlab na kabe se na irada kanisht ka

Ghazal

Matlab na kabe se na irada kanisht ka

Mirza Raza Barq

;

matlab na kabe se na irada kanisht ka
paband ye faqir nahin sang-o-KHisht ka

sarsabz hun jo aap dikha dije KHat-e-sabz
kushton ko khet mein abhi aalam ho kisht ka

us hur ki jo gulshan-e-ariz ki yaad thi
dekha kiya firaq mein aalam bahisht ka

kya munshi-e-azal ki ye sanat hai dekhna
mahir nahin kisi ki koi sarnawisht ka

nadan e'tiraaz hai sane pe ghaur kar
beja hai imtiyaz yahan KHub o zisht ka

ai 'barq' sair karte hain hum to jahan ki
har kucha-e-sanam hai namuna bahisht ka