matlab ki baat shakl se pahchan jaiye
main kyun kahun zaban se KHud jaan jaiye
aae wo naza mein bhi na hasrat nikalne
ab zer-e-KHak le ke sab arman jaiye
us bholi bholi shakl ke ho jaiye nisar
un bholi bholi baaton ke qurban jaiye
banhen gale mein Daliye bhi ab hansi-KHushi
ye hai shab-e-visal kaha man jaiye
kya tha jo muskuraate hue kah gae abhi
KHak aa ke mere dar ki zara chhan jaiye
mehman-nawaz un sa koi dusra nahin
ji mein hai un ke ghar kabhi mehman jaiye
hai qasd aaj hazrat-e-dil un ki bazm ka
allah aap ka hai nigahban jaiye
ja baiThiye tunuk ke zara mujh se phir alag
be-kuchh kahe sune bhi bura man jaiye
bad-yumn mere haq mein hai subh-e-shab-e-visal
khole hue na baal pareshan jaiye
kya tab hai 'riyaz' tumhaari zaban ki
rangini-e-kalam ke qurban jaiye
Ghazal
Matlab ki baat shakl se pahchan jaiye
Riyaz Khairabadi