mata-o-mal-e-hawas hubb-e-al samne hai
shikar KHud ko bacha dekh jal samne hai
KHayal-e-kohna muqayyad hai teri sochon mein
rihai de ki saza yarghamal samne hai
mujhe malal hai apni falak-nashini par
yahi uruj ki had phir zawal samne hai
ragon mein KHun ke badle machal rahi hai aag
ziyan badan ka na jaan ka wabaal samne hai
yahi hai kaba-e-maqsud isi se jalwa-e-arsh
uTha le chah se qut-e-halal samne hai
wo ba-kamal siyaq o sabaq par hawi
guzishta us ki nazar mein maal samne hai
saza ki himmat-e-ali bhi ho gai paspa
hazar-ha araq-e-infial samne hai
KHulus sikka-e-uftada jeb-e-hasti ka
uTha ke Dal de dast-e-sawal samne hai
hamare sabr ki had hum pe aashkara ho
musabbiba sabab-e-ishtial samne hai
mujhe aziz hai sahra-e-mumkinat ki sair
ye aur baat ki bagh-e-muhaal samne hai
nazar ba-KHair ho 'rahi' ki bu-e-gul ki tarah
chhupa hai wo magar us ka jamal samne hai
Ghazal
Mata-o-mal-e-hawas hubb-e-al samne hai
Rahi Fidai