mata-e-pas-e-wafa kho nahin sakunga main
kisi ka tere siwa ho nahin sakunga main
sada rahega tar-o-taza shaKH-e-dil par tu
fuzul ranj ki kuchh bo nahin sakunga main
tu aanhken mund le to nind aae mujh ko bhi
tu jaanta hai ki yun so nahin sakunga main
mujhe wirasat-e-gham se bhi aaq kar Dala
ye kaisa lutf ki ab ro nahin sakunga main
bahut hasin hai jahan, zindagi bhi KHub magar
mazid bar-e-nafas Dho nahin sakunga main
Ghazal
Mata-e-pas-e-wafa kho nahin sakunga main
Shahram Sarmadi

