mata-e-kausar-o-zamzam ke paimane teri aankhen
farishton ko bana deti hain diwane teri aankhen
jahan-e-rang-o-bu uljha hua hai un ke Doron mein
lagi hain kakul-e-taqdir suljhane teri aankhen
ishaaron se dilon ko chheD kar iqrar karti hain
uThati hain bahaar-e-nau ke nazrane teri aankhen
wo diwane zamam-e-lala-o-gul tham lete hain
jinhen mansub kar deti hain virane teri aankhen
shagufon ko shararon ka machalta rup deti hain
haqiqat ko bana deti hain afsane teri aankhen

Ghazal
Mata-e-kausar-o-zamzam ke paimane teri aankhen
Saghar Siddiqui