mata-e-hosh yahan sab ne bech Dali hai
tumhaare shahr ki tahzib hi nirali hai
hum ahl-e-dard hain taqsim ho nahin sakte
hamari dastan gulshan mein Dali Dali hai
na jaane bazm se kis ko uTha diya tum ne
tamam shahr-e-wafa aaj KHali KHali hai
talluqat ko TuTe hue zamana hua
wo ek nigah magar aaj bhi sawali hai
KHulus banTta main sab ke ghar gaya lekin
tum aaj aae ho jab mera hath KHali hai
kisi ki shamen sar-e-sham bujh gain 'nayyar'
kisi ke shahr mein lekin abhi diwali hai

Ghazal
Mata-e-hosh yahan sab ne bech Dali hai
Salahuddin Nayyar