mata-e-harf bhi KHushbu ke ma-siwa kya hai
hawa ke ruKH pe na jaun to rasta kya hai
main zard bij hun aur sabz hona chahta hun
meri zamin teri miTTi ka mashwara kya hai
ye meri kaghzi kashti hai aur ye main hun
KHabar nahin ki samundar ka faisla kya hai
bikhar raha hun teri tarah main bhi ai zar-e-gul
so tujh se puchhta hun tera tajraba kya hai

Ghazal
Mata-e-harf bhi KHushbu ke ma-siwa kya hai
Saud Usmani