mata-e-fikr-o-nazar raha hun
misal-e-KHushbu bikhar raha hun
main zindagani ke marke mein
hamesha zer-o-zabar raha hun
shafaq hun suraj hun raushni hun
salib-e-gham par ubhar raha hun
sajao raste bichhao kanTe
ki pa-barahna guzar raha hun
na zindagi hai na maut hai ye
na ji raha hun na mar raha hun
jo mere andar chhupa hua hai
us aadmi se bhi Dar raha hun
wo mere apne hi gham the 'sabir'
ki jin se main be-KHabar raha hun
Ghazal
Mata-e-fikr-o-nazar raha hun
Ayub Sabir