اردو हिंदी
Mata-e-dard ka KHugar meri talash mein hai | Shaahi Shayari
mata-e-dard ka KHugar meri talash mein hai

Ghazal

Mata-e-dard ka KHugar meri talash mein hai

Haidar Ali Jafri

;

mata-e-dard ka KHugar meri talash mein hai
kisi ka bheja payambar meri talash mein hai

hun main hi nuqta-e-aghaz iKHtitam-e-hisar
har ek hisar ka mehwar meri talash mein hai

mili hai auj KHudi ko yaqin-e-mohkam se
suna hai marzi-e-dawar meri talash mein hai

wo ek sai jise kahte hain hum sabhi idrak
wo mere jism ke andar meri talash mein hai

sabhi to dost hain kyun shak abas hua mujh ko
kisi ke hath ka patthar meri talash mein hai

mere KHuda main hun tujh se panah ka talib
mere gunahon ka lashkar meri talash mein hai

mere hi lams se ghunchon ne pai shadabi
chaman mein khilta gul-e-tar meri talash mein hai

kahin se sun liya hai meri pyas ka charcha
tabhi se pyasa samundar meri talash mein hai

laga hai sochne ahd-e-rawan ka 'marhab' bhi
bachunga kis tarah 'haidar' meri talash mein hai