اردو हिंदी
Mata-e-be-baha aansu zamin mein bo diya tha | Shaahi Shayari
mata-e-be-baha aansu zamin mein bo diya tha

Ghazal

Mata-e-be-baha aansu zamin mein bo diya tha

Mohammad Izhar ul Haq

;

mata-e-be-baha aansu zamin mein bo diya tha
palaT kar jab tera ghar main ne dekha ro diya tha

asa dar dast hun us din se binai nahin hai
sitara aankh mein aaya tha main ne kho diya tha

zamane husn sarwat hech sab us ke muqabil
tahi-kesa ko us pahli nazar ne jo diya tha

paron ki arghawani chhanw phailai thi sar par
bahishti nahr ka pani musafir ko diya tha

bas ek qindil thi jalti hui apne lahu mein
yahi nazrana dena tha haram mein so diya tha