اردو हिंदी
Mat use hath lagana wo sajan aag hai aag | Shaahi Shayari
mat use hath lagana wo sajan aag hai aag

Ghazal

Mat use hath lagana wo sajan aag hai aag

Khursheed Akbar

;

mat use hath lagana wo sajan aag hai aag
tum use KHak samajhte ho badan aag hai aag

us ki hasrat mein bhale log mare jate hain
kaun samjhae ki wo ghuncha-dahan aag hai aag

apni tahzib ko pani ki zarurat hogi
chum aaya hun lab-e-gang-o-jaman aag hai aag

wo jo momin hai to miTTi hi kafan hai us ka
aur kafir hai to phir us ka kafan aag hai aag

sare sayyare sitare bhi hain aatish-pare
ye zamin aag ki hai nil-gagan aag hai aag

phul khilte hain ki barud KHabar bhi dena
kitna shadab hai aur kitna chaman aag hai aag

sard alfaz ko baKHshi hai hararat kis ne
rashk-e-'KHurshid' hai wo us ka suKHan aag hai aag