mat samajhna ki sirf tu hai yahan
ek se ek KHub-ru hai yahan
pur hai bazar-e-husn chehron se
jaane kis kis ki aabru hai yahan
kaise aabaad ho ye virana
wahshat-e-kizb chaar-su hai yahan
aankh ki putliyon ko ghaur se dekh
teri taswir hu-ba-hu hai yahan
kaise tariKH likkhi jaegi
sirf talwar aur gulu hai yahan
tu kahan hai KHabar nahin ai dost
raat din teri guftugu hai yahan
jhankta kaun hai gireban mein
aaina kis ke ru-ba-ru hai yahan
maqtal-e-arzu hai dil 'wajid'
har tamanna lahu lahu hai yahan

Ghazal
Mat samajhna ki sirf tu hai yahan
Wajid Ameer