اردو हिंदी
Mat puchh ki is paikar-e-KHush-rang mein kya hai | Shaahi Shayari
mat puchh ki is paikar-e-KHush-rang mein kya hai

Ghazal

Mat puchh ki is paikar-e-KHush-rang mein kya hai

Saleem Shahid

;

mat puchh ki is paikar-e-KHush-rang mein kya hai
ek ret ka Tila pas-e-diwar-e-qaba hai

ye KHalq ibarat hai lab-e-goya ki muhtaj
dekhen to faqat dagh hai bolen to sada hai

aati hai sisakne ki dil-e-dasht se aawaz
shayad ki rag-o-pai mein koi aabla-pa hai

hai bojh tan-e-KHasta ka diwar-e-nafas par
goya ki mere ghar ka sutun mauj-e-hawa hai

kuchh wahshat-e-izhaar lahu shaKH pe lai
kuchh ras gul-e-zaKHm ko ye aab-o-hawa hai

ab aur koi nutq-o-zaban hon to kahun kuchh
is KHana-e-dar-band mein kya hashr bapa hai

ab ijz-e-safar ki bhi malamat hai mere sar
har rah mere samne aaghosh-kusha hai

phir tirgi-e-shab mein nazar aai nai shakl
ab dekh ki kis KHwab ka dar aankh pe wa hai

Takra ke siyahi se palaT jati hai surat
'shahid' dil-e-aina mein diwar si kya hai