mat KHuda DhunD sawalat ke aaine mein
is ko pahchan inayat ke aaine mein
mail-e-haq bhi hai aasi bhi ana wala bhi
wo jo rahta hai meri zat ke aaine mein
kuchh raqam hai meri qismat bhi tere hathon mein
sab nahin milta mere hat ke aaine mein
jang jari hai meri nafs-e-amara se hanuz
jab se dekha tujhe barsat ke aaine mein
qalb jab tak na munawwar ho yaqin-e-kul se
waswase pale hai shubhat ke aaine mein
rishte be-laus faza mein jo janam lete hain
wo nahin TuTte haalat ke aaine mein
qurb-e-shabbir hai kya re ki hukumat kya hai
hur ne sab dekh liya raat ke aaine mein
ghair bhi sungh liya karte hain aksar 'shaarib'
ek mohabbat teri har baat ke aaine mein
Ghazal
Mat KHuda DhunD sawalat ke aaine mein
Syed Iqbal Rizvi Sharib