mat baiTh waqt-e-naza tu yan ai hasin bahut
ulfat na kar tu aah dam-e-wapsin bahut
ye sach kare hai naz har ek naznin bahut
aashiq-kushi ka chaw pa dekha yahin bahut
hoti hai us ke dekhte haalat meri taghir
har chand main sambhaalun hun apne tain bahut
ye kaun jaane jhuT hai ya sach wa-lek aaj
us kam-suKHan ne pyar ki baaten to kin bahut
ushshaq hi ko gham nahin mashuq ko bhi hai
lekin ye farq hai kahin thoDa kahin bahut
Ghazal
Mat baiTh waqt-e-naza tu yan ai hasin bahut
Miir Sher Alii Afsos