masti azal ki shahpar-e-jibril ho gai
meri bayaz partaw-e-injil ho gai
dil ka gudaz aah ki tasir dekh kar
patthar ki zat kanp ke tahlil ho gai
har lafz kankari ki tarah ghair par gira
apni dua falak pe ababil ho gai
firaun-e-be-karam jo hua mail-e-sitam
naddi mere lahu ki wahin nil ho gai
jaana tha zud-tar mujhe maidan-e-hashr mein
ya shaghl-e-hadsat mein hi Dhil ho gai
Ghazal
Masti azal ki shahpar-e-jibril ho gai
Sher Afzal Jafri