اردو हिंदी
Mast hun mast hun KHarab KHarab | Shaahi Shayari
mast hun mast hun KHarab KHarab

Ghazal

Mast hun mast hun KHarab KHarab

Daud Aurangabadi

;

mast hun mast hun KHarab KHarab
saqiya saqiya sharab sharab

aatish-e-ishq sun teri jal jal
dil hua dil hua kabab kabab

dur mukh sun araq na kar gul-ru
de mujhe de mujhe gulab gulab

kah apas chashm-e-ba-haya kun sanam
rafa kar rafa kar hijab hijab

dekh chhupta hai abr mein KHurshid
dur kar dur kar naqab naqab

muntazir dil hai yar ke KHat ka
qasid aa qasid aa shitab shitab

shewa-e-gul-ruKHan hai ai 'daud'
ghamza o ghamza o itab itab