اردو हिंदी
Mast ankhiyan ka dekh dumbaala | Shaahi Shayari
mast ankhiyan ka dekh dumbaala

Ghazal

Mast ankhiyan ka dekh dumbaala

Abdul Wahab yakro

;

mast ankhiyan ka dekh dumbaala
dil mera ho gaya hai matwala

lab tere lal hain badaKHshan ke
dant tere hain lulu ai lala

dekh gulshan mein aatishin ruKHsar
dagh ho jal gaya gul-e-lala

ashk dariya naman nayan sin chalen
jab karun dard-e-dil sati nala

bar mein 'yakru' ke kyun na aaya hae
de gaya mujh kun sarw-qad baala