masrufiyat usi ki hai fursat usi ki hai 
is sarzamin-e-dil pe hukumat usi ki hai 
milta hai wo bhi tark-e-talluq ke bawajud 
main kya karun ki mujh ko bhi aadat usi ki hai 
jo umr us ke sath guzari usi ki thi 
baqi jo bach gai hai masafat usi ki hai 
hota hai har kisi pe usi ka guman mujhe 
lagta hai har kisi mein shabahat usi ki hai 
likkhun to us ke ishq ko likhna hai shairi 
sochun to ye suKHan bhi inayat usi ki hai 
dar-e-astan koi ho ba-zahir sar-e-sujud 
lekin pas-e-sujud ibaadat usi ki hai 
wo jis ke haq mein jhuTi gawahi bhi main ne di 
'ruhi' mere KHilaf shahadat usi ki hai
        Ghazal
Masrufiyat usi ki hai fursat usi ki hai
Rehana Roohi

