maslaKH-e-ishq mein khinchti hai KHush-iqbaal ki khaal
bheD bakri se hai kam-qadr bad-amal ki khaal
jis ki bose ke tasawwur se chhile gal ki khaal
tab kya lawe araq ponchhte rumal ki khaal
naqsh us ka bhi kiya daur-e-falak ne baatil
thi jo kawe ke alam se bandhi iqbaal ki khaal
nahin qassab-e-ajal se koi be-gham hargiz
postin chhine ye munim ki to kangal ki khaal
tan-dahi jab na karen kaam mein ustad ke ye
qumchiyon se na udheDe wo phir atfal ki khaal
band rumi hai samor us ke pa kaam aan-rozon
dekhne mein kabhi aai na thi is jal ki khaal
bad-gumani na ho kyun tab ke gae par afzun
dekh ukhDe lab-e-mashuq ke tabKHal ki khaal
malik-ul-mulk nasara hue kalkatte ke
ye to nikli ajab ek waza ki janjal ki khaal
jhurriyan kyun na paDen umr-e-fuzun mein munh par
tan pe jab lae shikan pir-e-kuhan-sal ki khaal
shams-tabrez ne murde ko kiya tha zinda
shara ne khinchi abas aise KHush-amal ki khaal
kaam az-bas-ki zamane ka hua hai bar-aks
chor khinchwae hai is ahd mein kotwal ki khaal
nafas-e-garm se leta hai wo iksir bana
dhonkni dam ki hai shaer ke zar-o-mal ki khaal
itne be-kar nahin jaanwar-e-abi bhi
dastanon ke to kaam aati hai ghaDiyal ki khaal
fikr mein mu-e-kamar ki tere hairan rahe
wahi daqqaq jo khinche hai sada baal ki khaal
itna maqdur mujhe dijo tu ai mehdi-e-din
mare koDon ke uDa dun KHar-e-dajjal ki khaal
dagh-e-dil chhin gaya yun sozan-e-mizhgan se teri
jis tarah howe mushabbak kisi ghirbaal ki khaal
nahin be-wajh giraftari-e-darwesh is mein
aahu o sher ki hoti hai ajab haal ki khaal
jis ke har dane se ek qatra-e-KHun Tapke hai
hai manDhi myan pe qatil ke ajab haal ki khaal
tan ko piri mein riyazat se dabaghi kar dun
'mushafi' charse ka charsa hai ye aur khaal ki khaal
Ghazal
MaslaKH-e-ishq mein khinchti hai KHush-iqbaal ki khaal
Mushafi Ghulam Hamdani