maskan wahin kahin hai wahin aashiyan kahin
do aaDe sidhe rakh liye tinke jahan kahin
phulon ki sej phulon ki hain baddhiyan kahin
kanTon pe hum taDapte hain o aasman kahin
jate kidhar ho tum saf-e-mehshar mein KHair hai
daman na ho KHuda ke liye dhajjiyan kahin
pahra biTha diya hai ye qaid-e-hayat ne
saya bhi sath sath hai jaun jahan kahin
bas mujh ko dad mil gai mehnat wasul hai
sun le ghazal ye bulbul-e-hindustan kahin
'shair' wo aaj phir wahin jate hue mile
dushman ke sar pe TuT paDe aasman kahin
Ghazal
Maskan wahin kahin hai wahin aashiyan kahin
Agha Shayar Qazalbash