اردو हिंदी
Masjud mera rah-numa kyun nahin hua | Shaahi Shayari
masjud mera rah-numa kyun nahin hua

Ghazal

Masjud mera rah-numa kyun nahin hua

Jamal Owaisi

;

masjud mera rah-numa kyun nahin hua
tera KHuda bhi mera KHuda kyun nahin hua

mujh ko zamir Tokta rahta hai har ghaDi
logon ka dil bhi shisha-numa kyun nahin hua

main be-dimagh dost banata raha sada
mujh par asar KHushunaton ka kyun nahin hua

zahir-parast log mere aas-pas hain
main bhi unhin ke jaisa bhala kyun nahin hua

marte hain sab talash-e-hayat-e-dawam mein
tera sahifa aab-e-baqa kyun nahin hua

basti ke sare log jise pujte rahe
mere liye wo fard KHuda kyun nahin hua

phirta raha gali gali teri talash mein
malum tere ghar ka pata kyun nahin hua