masjid-o-mandir kalisa sab mein jaana chahiye
dar kahin ka ho muqaddar aazmana chahiye
mujh ko rone do mujhe rone mein milta hai maza
muskurao tum ki tum ko muskurana chahiye
KHatm par mera safar hai Dagmagate hain qadam
aage baDh kar un ko mera dil baDhana chahiye
zindagi bhar chal ke hum aae hain manzil ke qarib
do-qadam ab chal ke manzil ko bhi aana chahiye
hosh aaya zindagi ka bar uTha lene ke baad
bojh jitna uTh sake utna uThana chahiye
rakh diya ek din main jis ghar ko khanDar kar ke 'nazir'
us ko banne ke liye ab ek zamana chahiye
Ghazal
Masjid-o-mandir kalisa sab mein jaana chahiye
Nazeer Banarasi