masjid ke zer-e-saya KHarabaat chahiye
bhaun pas aankh qibla-e-hajat chahiye
aashiq hue hain aap bhi ek aur shaKHs par
aaKHir sitam ki kuchh to mukafat chahiye
de dad ai falak dil-e-hasrat-parast ki
han kuchh na kuchh talafi-e-mafat chahiye
sikhe hain mah-ruKHon ke liye hum musawwari
taqrib kuchh to bahr-e-mulaqat chahiye
mai se gharaz nashat hai kis ru-siyah ko
ik-guna be-KHudi mujhe din raat chahiye
nashw-o-numa hai asl se 'ghaalib' furu ko
KHamoshi hi se nikle hai jo baat chahiye
hai rang-e-lala-o-gul-o-nasrin juda juda
har rang mein bahaar ka isbaat chahiye
sar pa-e-KHum pe chahiye hangam-e-be-KHudi
ru su-e-qibla waqt-e-munajat chahiye
yani ba-hasb-e-gardish-e-paimana-e-sifat
aarif hamesha mast-e-mai-e-zat chahiye
Ghazal
Masjid ke zer-e-saya KHarabaat chahiye
Mirza Ghalib