masih-e-waqt bhi dekhe hai dida-e-nam se
ye kaisa zaKHm hai yaro KHafa hai marham se
koi KHayal koi yaad koi to ehsas
mila de aaj zara aa ke hum ko KHud hum se
hamara jam-e-sifalin hi phir ghanimat tha
mili sharab bhala kis ko saghar-e-jam se
hawa bhi tez hai yurish bhi hai andheron ki
jalae mishalen baiThe hain log barham se
ghamon ki aanch mein tap kar hi fan nikharta hai
ye shama jalti hai 'jawed' chashm-e-pur-nam se
Ghazal
Masih-e-waqt bhi dekhe hai dida-e-nam se
Javed Vashisht