mashrab-e-husn ke unwan badal jate hain
mazhab-e-ishq mein iman badal jate hain
ruKH-e-jaan se tere paikan badal jate hain
KHana-e-qalb ke mehman badal jate hain
ishq mein pyar ke imkan badal jate hain
husn ke faiz se ruman badal jate hain
inqalabaat-e-tamaddun se jahan mein aksar
main ne dekha hai ki insan badal jate hain
ek safine ke tasadum se ye dekha main ne
roz umaDte hue tufan badal jate hain
itni ai dost pila hosh na aane pae
aalam-e-hosh mein arman badal jate hain
manzar-e-sham-o-sahar par na ho giryan shabnam
ghuncha-o-gul ke nigahban badal jate hain
aise afsane bhi guzre hain nigahon se bahut
jin ke anjam se unwan badal jate hain
manzar-e-am pe aate hi payam-e-mazdur
satwat-e-shahi ke farman badal jate hain
zindagi jazba-e-ruman-e-musalsal hi sahi
tere ehsas se ruman badal jate hain
KHatm gulshan pe nahin 'zeb' bahaaron ki haden
mausam-e-gul mein bayaban badal jate hain
Ghazal
Mashrab-e-husn ke unwan badal jate hain
Zeb Bareilwi