mashinen kaam apna kar rahi hain
hamein bhi apne jaisa kar rahi hain
hazaron mil se aati hawaen
yahan kohram barpa kar rahi hain
nai baisakhiyan aks o sada ki
hamare qad ko uncha kar rahi hain
sabhi ko ungh si aane lagi hai
fazaen jadu-Tona kar rahi hain
hamara dil to hangamon bhara tha
yahan tanhaiyan kya kar rahi hain
ye zalim hansne wali hastiyan hain
faqat rumal gila kar rahi hain

Ghazal
Mashinen kaam apna kar rahi hain
Obaid Haris