mashhur hain dinon ki mere be-qarariyan
jati hain la-makan ko dil-e-shab ki zariyan
chehre pe jaise zaKHm hai naKHun ka har KHarash
ab didani hui hain meri dast-kariyan
sau bar hum ne gul ke gae par chaman ke beach
bhar di hain aab-e-chashm se raaton ko kiyariyan
kushte ki us ke KHak bhare jism-e-zar par
KHali nahin hain lutf se lohu ki dhaariyan
turbat se aashiqon ke na uTha kabhu ghubar
ji se gae wale na gain raaz-dariyan
ab kis kis apni KHwahish-e-murda ko roiye
thin hum ko is se sainkaDon ummidwariyan
paDhte phirenge galiyon mein in reKHton ko log
muddat rahengi yaad ye baaten hamariyan
kya jaante the aise din aa jaenge shitab
rote guzartiyan hain hamein raaten sariyan
gul ne hazar rang-e-suKHan sar kiya wale
dil se gain na baaten teri pyari pyariyan
jaoge bhul ahd ko farhad-o-qais ke
gar pahunchen hum shikasta-dilon ki bhi bariyan
bach jata ek raat jo kaT jati aur 'mir'
kaTen thin kohkan ne bahut raaten bhaariyan
Ghazal
Mashhur hain dinon ki mere be-qarariyan
Mir Taqi Mir