mashhur chaman mein teri gul pairahani hai
qurban tere har uzw pe nazuk-badani hai
uryani-e-ashufta kahan jae pas-az-marg
kushta hai tera aur yahi be-kafni hai
samjhe hai na parwana na thame hai zaban shama
wo soKHtani hai to ye gardan-zadani hai
leta hi nikalta hai mera laKHt-e-jigar ashk
aansu nahin goya ki ye hire ki kani hai
bulbul ki kaf-e-KHak bhi ab hogi pareshan
jame ka tere rang sitamgar chimani hai
kuchh to ubhar ai surat-e-shirin ki dikhaun
farhad ke zimme bhi ajab koh-kani hai
hon garm-e-safar sham-e-ghariban se KHushi hon
ai subh-e-watan tu to mujhe be-watani hai
har-chand gada hun main tere ishq mein lekin
in bul-hawason mein koi mujh sa bhi ghani hai
har ashk mera hai dur-e-shahwar se behtar
har laKHt-e-jigar rashk-e-aqiq-e-yamani hai
bigDi hai nipaT 'mir' tapish aur jigar mein
shayad ki mere ji hi par ab aan bani hai
Ghazal
Mashhur chaman mein teri gul pairahani hai
Mir Taqi Mir