mashaqqat ki tapish mein jism ka loha galate hain
baDi mushkil se is miTTi ko hum sona banate hain
taraste hain kahin kuchh log roTi ke niwalon ko
kahin har sham shahzade sharabon mein nahate hain
kabhi sukhe hue peDon ka wo matam nahin karte
hon jin ke zehn tamiri nae paude lagate hain
KHudaya rahm in masum bachchon ke laDakpan par
jinhen kaghaz siyah karne the wo kaghaz uThate hain
bahut aansu rulae hain hamein taqsim-e-gulshan ne
muhajir wo samajhte hain to ye baghi batate hain
main apne zarf se baDh kar agar kuchh mang leta hun
to phir ehsas ke shoale sukun mera jalate hain
musibat koi aa jae kisi par is zamane mein
to phir kya ghair kya apne sabhi daman bachate hain
Ghazal
Mashaqqat ki tapish mein jism ka loha galate hain
Mujahid Faraaz