mashal-e-dard phir ek bar jala li jae
jashn ho jae zara dhum macha li jae
KHun mein josh nahin aaya zamana guzra
dosto aao koi baat nikali jae
jaan bhi meri chali jae to kuchh baat nahin
war tera na magar ek bhi KHali jae
jo bhi milna hai tere dar hi se milna hai use
dar tera chhoD ke kaise ye sawali jae
wasl ki subh ke hone mein hai kuchh der abhi
dastan hijr ki kuchh aur baDha li jae
Ghazal
Mashal-e-dard phir ek bar jala li jae
Shahryar