اردو हिंदी
Masham-e-bulubul mein rashk-e-gul ki hunuz bu bhi nahin gai hai | Shaahi Shayari
masham-e-bulubul mein rashk-e-gul ki hunuz bu bhi nahin gai hai

Ghazal

Masham-e-bulubul mein rashk-e-gul ki hunuz bu bhi nahin gai hai

Karamat Ali Shaheedi

;

masham-e-bulubul mein rashk-e-gul ki hunuz bu bhi nahin gai hai
abhi wo nam-e-KHuda hai ghuncha nasim chhu bhi nahin gai hai

na ishq surme ka ne misi ka na shauq ghamze ka ne hansi ka
guman ho gar tum ko aarsi ka so ru-ba-ru bhi nahin gai hai

bala ko us ki KHabar hai kahte hain kis ko mashuq kya hai aashiq
hunuz kanon mein us pari ke ye guftugu bhi nahin gai hai

yaqin nahin mujh ko qais-e-giryan ke haal se us ko aagahi ho
nikal ke matlab se apne laila kinar-e-ju bhi nahin gai hai

'shahidi' itni guman-parasti nashe mein sab bhul baiThe hasti
hui hai us se hi tum ko masti jo ta-gulu bhi nahin gai hai