masarrat ko masarrat gham ko jo bas gham samajhte hain
wo nadan zindagi ka raaz aksar kam samajhte hain
haqiqat mein wahi raaz-e-haqiqat se hain na-waqif
jinhen dawa hai ye raaz-e-haqiqat hum samajhte hain
nahin hajat hamein ai chaarasazo chaara-sazi ki
hum apne dard hi ko dard ka marham samajhte hain
hamari sada-lauhi us se baDh kar aur kya hogi
ki hum na-ashna ko aashna-e-gham samajhte hain
ye kaisa raaz hai un ke hamare darmiyan yarab
na jis ko wo samajhte hain na jis ko hum samajhte hain
main un ke ranj ke qurban main un ke dard ke sadqe
jo har insan ke gham ko KHud apna gham samajhte hain
samajhte hain 'jalis' ab aap to aalam ko begana
magar hum aap ko be-gana-e-alam samajhte hain
Ghazal
Masarrat ko masarrat gham ko jo bas gham samajhte hain
Brahma Nand Jalees