masale zer-e-nazar kitne the
ahl-e-dil ahl-e-hunar kitne the
hashr aae to yahi faisla ho
kitne insan the bashar kitne the
kasa-e-chashm mein ummid liye
jo bhi the KHak-basar kitne the
sari basti mein makan the behad
jo khule rahte the dar kitne the
wo jo aasaishon mein tulte the
sang-e-marmar ke wo ghar kitne the
tujh ko paen tujhe kho baiThen phir
zindagi ek thi Dar kitne the
kitne dariya the kinare kitne
manzilen kitni safar kitne the
har taraf dhup ki yalghaaren thin
har taraf mom ke ghar kitne the
kitni aankhon ne gawahi di thi
dhup kitni thi shajar kitne the
kitne shab-KHun abhi tak mein hain
luT gae the jo nagar kitne the
waqt ki gard ye qadmon ke nishan
soch lo bar-e-digar kitne the
kachchi basti ke makin bhi gin lo
shahr mein sahab-e-zar kitne the
Ghazal
Masale zer-e-nazar kitne the
Azra Waheed