masale ka hal na nikla der tak
raat-bhar jag bhi socha der tak
muskura kar us ne dekha der tak
dil hamara aaj dhaDka der tak
aap aae hain to ye aaya KHayal
baam par kyun panchhi chahka der tak
TuTte hi un se ummid-e-wafa
dil hamara phir na dhaDka der tak
phul apne ras se wanchit ho gaya
phul par bhanwra jo baiTha der tak
khul gaya us ki wafaon ka bharam
de na paya mujh ko dhoka der tak
naz se wo zulf suljhate rahe
chhat pe meri chand chamka der tak
jis jagah insan ki izzat na ho
us jagah phir kya Thaharna der tak
KHub roya main kisi ki yaad mein
ab ki baadal KHub barsa der tak
chal diya wo sab ko tanha chhoD kar
kash wo duniya mein rahta der tak
wo chhuDa kar apna daman chal diye
rah gaya main hath malta der tak
zahr se labrez saghar ka maza
pyar mein hum ne bhi chakkha der tak
ye zamana bewafa hai 'nur'-ji
kab kisi ka sath dega der tak
Ghazal
Masale ka hal na nikla der tak
Shyam Sundar Nanda Noor