اردو हिंदी
Masale bhi mere hamrah chale aate hain | Shaahi Shayari
masale bhi mere hamrah chale aate hain

Ghazal

Masale bhi mere hamrah chale aate hain

Muzaffar Razmi

;

masale bhi mere hamrah chale aate hain
hausle bhi mere hamrah chale aate hain

kuchh na kuchh baat mere azm-e-safar mein hai zarur
qafile bhi mere hamrah chale aate hain

jab bhi ai dost teri samt baDhata hun qadam
fasle bhi mere hamrah chale aate hain

gham mere sath nikalte hain sawere ghar se
din Dhale bhi mere hamrah chale aate hain

pa-barhna jo guzarta hun tere kuche se
aable bhi mere hamrah chale aate hain

mere mahaul mein har samt bure log nahin
kuchh bhale bhi mere hamrah chale aate hain

jab bhi karta hai qabila mera hijrat 'razmi'
zalzale bhi mere hamrah chale aate hain