اردو हिंदी
Masala ye bhi ba-faiz-e-ishq aasan ho gaya | Shaahi Shayari
masala ye bhi ba-faiz-e-ishq aasan ho gaya

Ghazal

Masala ye bhi ba-faiz-e-ishq aasan ho gaya

Ram Krishn Muztar

;

masala ye bhi ba-faiz-e-ishq aasan ho gaya
zist ko andaza-e-gham-ha-e-dauran ho gaya

dil mein jab ehsas ka shoala farozan ho gaya
nur afshan har charagh-e-bazm-e-imkan ho gaya

tere lahraate hi ai jaan-e-tarab ruh-e-nashat
zindagi raqsan hui aalam ghazal-KHwan ho gaya

is tarah meri bahaar-e-zindagi ruKHsat hui
dil ujaD kar rah gaya aaghosh viran ho gaya

ho gai jab zaKHma-zan dard-e-mohabbat ki KHalish
har nafas ek naghma-e-saz-e-rag-e-jaan ho gaya

anjum-afshan ho gai jab meri chashm-e-ashk-bar
dard ki tera fazaon mein charaghan ho gaya

jis ke aaine mein lakhon rang the jalwa-fagan
KHwab sa wo lamha-e-aish-e-farawan ho gaya

main ne har but ki parastish ki kuchh is andaz se
kufr mera laeq-e-arbab-e-iman ho gaya

aah muztar ab wo jalwe hain na wo ranaiyan
har nazara saya-e-umr-e-gurezan ho gaya