masala husn-e-taKHyyul ka hai na ilham ka hai
ye fasana zara mushkil dil-e-nakaam ka hai
raat-din pahron-pahar us ki ada ke charche
ye tamasha bhi mere waste kis kaam ka hai
muskurane lage har samt mohabbat ke charagh
tere chehre ka tasawwur bhi baDe kaam ka hai
suni suni thin jo aankhen wo dobara hans den
nazar aaya hai jo manzar wo usi sham ka hai
is talluq ka koi rang na Dhalne paya
tazkira sheron mein ab bhi usi gulfam ka hai
le uDin zard hawaen mere ghar se KHushbu
baam-o-dar kya hain daricha mere kis kaam ka hai
fasl ho jae to baDhti hai KHushi se duri
aap ka qurb ye sach hai baDe aaram ka hai
Ghazal
Masala husn-e-taKHyyul ka hai na ilham ka hai
Salma shaheen