masala aaj mere ishq ka tu hal kar de
pyar kar TuT ke mujh se mujhe pagal kar de
luT le mera sukun aur mujhe be-kal kar de
yun simaT aa meri banhon mein unhen shal kar de
dekh kar pahli nazar mein jo umaD aae the
phir se jazbaat mein paida wahi halchal kar de
ban ke ghanghor ghaTa mujh pe tu chha khul ke baras
KHushk sahra ko mere jism ke jal-thal kar de
kis tarah waqt guzarta hai pata hi na chale
ibtida aaj se kar aur use kal kar de
tere bin mujh ko adhura sa lage apna wajud
yun sama mujh mein mera jism mukammal kar de
jhil aankhon ki meri jaan zara sadqa utar
aur mere nam tu aankhon ka ye kajal kar de
aur kuchh tujh se nahin mangta ai jaan-e-hayat
waqt bas mere liye apna har ek pal kar de
chahta hun ki na dekhen tujhe duniya wale
sirf parde ke liye samne aanchal kar de
qabl is ke mujhe jhulsa de ghamon ka suraj
mujh pe tu apni siyah zulfon ka baadal kar de
mere allah nazar bhar ke use dekh to lun
phir tu chahe meri aankhon ko muqaffal kar de
Dub jaun main tere ishq-samundar mein 'nadim'
apni sanson se meri sanson ko bojhal kar de
Ghazal
Masala aaj mere ishq ka tu hal kar de
Farhat Nadeem Humayun