masal kar phenk dun aankhen to kuchh tanwir ho paida
jo dil ka KHun kar Dalun to phir tasir ho paida
agar dariya ka munh dekhun to qaid-e-naqsh-e-hairat hun
jo sahra gher le to halqa-e-zanjir ho paida
sarasar silsila patthar ka chashm-e-nam ke ghar mein hai
koi ab KHwab dekhe bhi to kyun tabir ho paida
main in KHali manazir ki lakiron mein na uljhun to
KHutut jism se milti koi taswir ho paida
lahu mein ghul gae jo gul dobara khil bhi sakte hain
jo main chahun to sine par nishan-e-tir ho paida

Ghazal
Masal kar phenk dun aankhen to kuchh tanwir ho paida
Shamsur Rahman Faruqi