marte marte raushni ka KHwab to pura hua
bah gaya sara lahu tan ka to din aadha hua
raston par peD jab dekhe to aansu aa gae
har shajar saya tha teri yaad se milta hua
subh se pahle badan ki dhup mein nind aa gai
aur kitna jagta main raat ka jaga hua
shahr-e-dil mein is tarah har gham ne pahchana mujhe
jaise mera nam tha diwar par likkha hua
zist ke pur-shor sahil par gae lamhon ki yaad
jis tarah saya ho sath-e-ab par Thahra hua
gham hue wo aashna chehron ke aaine kahan
shahr hai sare ka sara dhund mein lipTa hua
wasl ke baadal zara tham husn-e-qamat dekh lun
pyas ka sahra to hai ta-chashm-e-tar phaila hua
mujh ko aashob-e-hikayat jaan lene ki hawas
aur ye tera badan ek dastan kahta hua
gham jo milta hai to ai tausif sine se lagao
kis ne lauTaya hai yun mehman ghar aaya hua

Ghazal
Marte marte raushni ka KHwab to pura hua
Tauseef Tabassum