اردو हिंदी
Marta bhala hai zabt ki taqat agar na ho | Shaahi Shayari
marta bhala hai zabt ki taqat agar na ho

Ghazal

Marta bhala hai zabt ki taqat agar na ho

Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida

;

marta bhala hai zabt ki taqat agar na ho
kitna hi dard-e-dil ho magar chashm-e-tar na ho

wo sar hi kya ki jis mein tumhaara na ho KHayal
wo dil hi kya ki jis mein tumhaara guzar na ho

aisi to be-asar nahin betabi-e-firaq
nale karun main aur kisi ko KHabar na ho

mil jao tum to shab ko baDha lenge ta-abad
mangenge ye dua ki ilahi sahar na ho

zulf un ki apne ruKH pe pareshan karenge hum
Dar hai shab-e-visal kahin muKHtasar na ho

main hun wo tufta-dil ki hua aaftab par
mera guman ki aah ka meri sharar na ho

'shaida' ko tere KHauf kisi ka nahin yahan
sara jahan ho us ka adu to magar na ho