marne ki koi rah na jine ka sabab hai
jina bhi yahan qahr hai marna bhi ghazab hai
aa jao ye kucha bhi rah-e-gesu-o-lab hai
zanjir bhi KHanjar pe lahu bhi yahan sab hai
sunte hue jug bit gaya qissa-e-jamhur
ab is ko haqiqat bhi bana Daliye tab hai
ye aaj faza mein jo ghuTan hai jo umas hai
kahte hain ye tufan ke liye husn-e-talab hai
pahchan hi lega ye lahu daman-e-qatil
han hashr ka hangam bata do koi kab hai

Ghazal
Marne ki koi rah na jine ka sabab hai
Qamar Raees