marna taqdir hai zanjir baja lo pahle
kuchh ho sayyaad se aankhen to mila lo pahle
abr tum khul ke barasna sar-e-gulzar-e-hayat
dushman-e-gul pe zara barq gira lo pahle
dar ki samt rawan ho magar ai diwano
ek jahan dad-gar apna to bana lo pahle
ishq ka zahr jo ghul jae to pi lo be-gham
jam-e-mai aur zara tez mila lo pahle
arsh-e-taqdis ko jate hue ai aadam-e-nau
kahkashan gard hai raste se haTa lo pahle
tum ne sun rakkha hai aazadi-e-'jawed' ka nam
marg ki aankh se aankhen to mila lo pahle
Ghazal
Marna taqdir hai zanjir baja lo pahle
Javed Lahori